For adults, music is a way to entertain ourselves. But what does Music mean for kids? And how is listening to music equivalent to a full body workout of the brain? Let’s explore together in this new 5 min podcast.
Sangeet bhara bacchpan | What does music mean for kids?
Aap ek curious parent hai, aur agle paanch mein hum bachon ke baare mein baat karenge.
Humne “Music sunega, Einstein Banega” mein yeh dekha ke music sun ne se bacha Einstein to nahin banega lekin overall development mein bahut faayda hai.
Lekin yeh to bado ka nazariya hai. Sabse zaroori sawaal to yeh hai ke bachon ke liye music ka kya matlab hota hai?
Agar woh miss ho gaya to baaki ka faayda kamm hai. Kyonki bacha ek ‘chota adult’ nahin hota. Unka mind, body badon ke fully developed body mind se different hoti hai. Unko cheezein alag tareeke se dikhti hai, mehsoos hoti hai.
Ek tareeke se sochiye to music ke case mein bache gaana nahin gaate. Jaise hum bade gaate hai, waisa nahin hota. Ulta hota hai: gaana bachon ko gaata hai. They are one with the music. Yeh feeling shayad har aachey sangeetkaar ki hoti hogi, lekin har bacha jo khud se ga raha hai, uski bhi yehi feeling hoti hai.
Waldorf ke founder Rudolf Steiner ka kehna hai ke, "The aim is not simply to teach children to sing and to play music, but to awaken qualities of soul."
Bachey ke rooh jaagni chahiye.
Yeh ek acchi emotional statement hai. Mujhe aachi lagti hai. Lekin aap shayad logical ho - aur aapko data chahiye ho ke ghar ko musical banane ke kya faayde hai.
So if you do not believe in 'awakening qualities of the soul' but rather in sharpening the mind to yeh suniye. Music does that for our brains.
Jab neural scientists ne MRI and PET use kiya to scan brains listening to music they found fireworks in our brain. Unko mila ke music sunne ke karan multiple parts of the brains ikathe activate ho rahe the. Yeh bahut different hai usse jo hamare brain mein hota hai jab hum book padte hai ya maths ka problem solve karte hai. Us samey pe brain ka khali ek particular part hi activate hota hai.
Iske baad jab neural scientists ne music play karte hue human ka brain analyze kiya to unko mila ke that is equal to full body workout of the brain. Music bajane ke liye fine motor skills ki zaroorat padti hai. Fine motor skills matlab woh skills jiske liye humein apni choti choti muscles use karni padein. Yeh muscles brain ke dono sides ko use karti hai. So music engages both. Music majboor karta hai bachon ke brain ko ikathe concentrate karne ke liye on multiple tasks. Aur brain ka woh part bhi use hota hai jisse hum maths, science seekhte hai aur same time parr emotional part bhi engage hota hai. So brain ka full body workout ho raha hota hai.
As parents hamare liye jaana zaroori hai ke intellegence khali ek type ki nahin hoti. Agar aapko interest hai to aap Howard Gardner ki Multiple Intelligence theory pad sakte hai. Howard Gardner aath tareeke ke intelligence ke baare mein baat karte hai. Musical learning un mein se ek hai. Jaise maths hai, numbers hai waise musical intelligenÎ bhi ek intelligence hai jisko cultivate kiya jaa sakte hai. Musical ghar banake.
To chaliye samaj lete hai ke music hota kya hai? Music ek art form. It is an art form.
Art form kitne tarah ke hote hai?
Mein engineer hoon, clear tha engineering karni hai to zyada art form ke taraf bachpan se hi nahin gaya. To pehli cheez to mujhe yeh pata lagi ke chaar tarah ke art forms, yaani chaar tarah ki kalaayein hoti hai duniya mein.
Dilchasp baat yeh hia ke pehli teenon art form ka duniya mei physical presence hai. Aap unko dekh sakte hai. Aur jab woh art aap banate hai woh jo aapne dekha, socha uspe nirbhar hai. Painting le lijiye, chahe sculpture banana ya shayari likhna. Yeh sab dikhne waali cheezon se aati hai aur dekhi jaa sakti hai. Reality ki copy hai.
Music hi aisa hai jiski reality mein koi copy nahin hai. Isliye yeh kehte hai ke ‘Music originated from the Gods’. Sangeet bhagwaan ne banaya hai.
Lekin aaj kal ke zamane mein toy companies bhi bahut saare electronic toys bana rahi hai. Research yeh bolti hai ke kids don’t like electronic toys. Mera personal experience meri beti ke saath bhi yehi raha hai. Ek do baar khel ke woh choot jaate hai. Woh mehanga birthday gifts dene ke liye aacha hai lekin bachon ke liye unka koi khaas use nahin. The reason kids don’t like it is because bachon ke imagination ka kaam to electronics ne pehle hi kar diya. To khelne ke liye bacha kya. And humein apne bachey ke sochney ki shramata toy banane waalon ko outsource nahin karni hai. Isliye electronic toys par paise waste karke zyada matlab nahin hai.
Rudold Steiner jo ke waldorf philosophy ke founder hai unka kehna hai ke agar hum instrument dhoond rahe hai kahiye ek 6 saal ke bachey ke liye to aisa instrument chahiye jismein bacha flow ho sake. The child and the instrument are the same. Aur iske liye ek wind instrument best hai.
Aur Rudolf kehte hai ke sabse kamm aacha instrument hai piano.
Piano easy hai bajana. Kaafi gharon mein aaj kal hote hai aur schools ne bhi bade bade auditorium banaye hai. Lekin for a young child piano might not be the right instrument. Kyonki woh ek memorizing instrument hai, not a instrument with which a child can become one.
Jaise counting yaad karte hai waise chote bachey key dabana yaad kar lenge. Lekin shayad usse music aana nahin kehte.
Is episode mein humne dekha ke bachon ke liye music ka kya matlab hai. Aur electronic toys humein music ke liye kyon nahin use karne chahiye. To sawaal yeh bacha ke koi bhi parents apna ghar musical kaise bana sakte hai.
Yeh dekhenge agli baar. Mera naam Harpreet hai. Aaapne mere saath apne bachon ke liye 5 min bitaye iske liye mein aapka shukrguzaar hoon.
Phir milenge.
Join the curious parents' community to receive one researched newsletter every month to understand your child better.