What has traffic done to the independence of our children? Can you let your child cross the road alone? Let’s talk about it in this podcast.
Research Sources: Understanding CIM ; Assessment of CIM
Ek Galat Kadam
Aap ek curious parent hai aur agle 5 min hum bachon ke baare mein baat karenge.
Aaj kal maine apne 2 doston ke saath subah exercise karni shuru ki hai. Subah 6:30 se 7:30. Jis park mein hum exercise karte hai woh ek school ke saamne hai. Jab subha jaate hai to khali hota hai. Dhayaan se suno to do chaar pakshiyon ki aawaaz bhi aa jaati hai. Lekin jab tak exercise khatam hoti hai aur hum bahar aate hai - sirf gaadiyon ke horn hote hai. Almost har ek gaadi mein ek parent ya ek driver aur ek bacha. Full jaam laga hota hai.
Jab bhi mein yeh dekhta hoon to mujhe yaad aati hai apne bachpan ki. Jab mera school 4 km door tha aur mein apni red colour ki cycle par school jaata tha. Akele.
To mein sochta hoon ke yeh aaj kal bachey cycle par kyon nahin jaate? Kahan gaye woh din?
Aur kya yeh hum Indian parents ki befassol ki chinta hai ya actually ab cycle par bachey ka school jaana mushkil hai? Baaki deshon mein kya ho raha hai?
Chaliye kuch research dekhte hai. Research thode saal purani hai, lekin valid hai.
January 1990 mein ek research paper publish hua. uska naam tha ‘One false move’ matlab ‘ek galat kadam’. Yeh research thi is cheez pe ke pichley 50 saalon mein bachon ki aazaadi kaise badli hai. Aur kyon badli hai?
Unhone bachey ki aazaadi ko naapne ke liye ek term define ki: Children’s Independent Mobility. CIM. CIM ka matlab hai ‘ghar ke aas pass khud se ghoomne ki bachey ki aazaadi’
Yeh original research Britain mein hui thi. 70 years ka data le kar. From 1922 to 1990.
Britain mein transport ministry ne kaha ke is 70 years ke time mein ‘road safety’ increase ho gayi hai.
Jab ki number of vehicles on road pehle se 25 guna hai. 25X. But children involved in road accidents have reduced by half.
Yeh research paper yeh poochna chahata tha ke How is that possible? Ke gadiyaan increase ho gayi hai, speed of vehicles increase ho gaya hai, acceleration increase ho gaya hai. Lekin accidents kamm ho gaye hai? Yeh kaise.
Possible hai. Kaise. Aayiye dekhte hai?
1969 mein Britain mein saat saal ke 10 mein se 9 bachey, matlab 90% bachey ghar ke saamney ki road khud cross karte the. 1989 tak aate hai yeh teen mein se 1 ho gaya tha, matlab 33% aur aaj kal 2022 mein aate aate almost 0% ho chuka hai.
1970’s mein United States mein 90% bachey khud se school jaate the. Paidal ya cycle par. But 2000 tak yeh khali 10% reh gaye the. Aur aaj kall yeh bhi shayda zero ho gaya hai.
India mein traffic kaisa ho gaya hai, yeh to aapko pata hi hai.
To hua yeh hai ke traffic kam nahin hua hai. Road safety increase nahin hui hai. Road se bachey hi hatt gaye hai.
Is pe research paper ne bahut hi interesting baat boli: ke bachon ke liye road safety ka sahi measure actually ‘number of accidents ya number of death’ nahin hai. Bachon ke liye road safety ka measure hai: escorting time used of adults for children.
Ke bachey ko badon ki kitni zaroorat padti hai.
1971 se 1990 tak yeh time increased by 4X. Chaar guna se bada. Ab aur bad gaya hai.
Pehle bachey school khud se jaate the, road khud se cross karte the, ab nahin kar sakte.
Matlab road safety kam hui hai badi nahin hai.
Aur parents ki jo chinta hai woh sahi hai.
Zyada bachon ke pass cycle hai. Lekin aaj se 20 saal pehle tak cycle ek mode of transport thi bachon ke liye bhi. Aaj kall car chalayi jaati hai aur cycle as a mode transport khatam ho gaya hai.
Jo car humein ghoomane door leke jaa rahi hai wohi car bachon ko thoda bhi door jaane se rok rahi hai.
Yeh badalna bachon ki safety ko dhayaan mein rakhte hue, hum parents ke haath mein hai.
Mein thoda befikar parent hoon. Mera personal tendency rehta hai bachey ko aazaadi dene ka. Lekin yeh sab research padke mujhe do cheezein samaj mein hai.
Agar aapko zaroori lagta hai ke bacha khel sake kood sake khud se to aap kahan rehte hai usse bahur fark padta hai. Agar aapke haath mein hai choose karna to appko kahan rehna hai yeh choose karte hue yeh do chaar cheezon ka dhyaan rakh sakte hai
Khud se travel kar paane ko personal independence ka sabse bada symbol maana jaata hai. Ke mein khud se kahin jaa sakta hoon.
Zyada gadiyon ne aur traffic ne yeh sab badal diya hai. Aaj kal hamare bachey doosrey desh, doosrey shaher to zyada ghoom rahe hai, lekin ghar ke aas pass khud se nahin jaa sakte.
Maine socha ke agar meri beti ne zid ki ke mujhe road khud se cross karni hai to mein kya kahoonga. Mein us se kahoonga ke mujhe pata hai ke tumko dar nahin lagta. That you are not afraid. But I am afraid. Mujhe dar lagta hai. Tum confident ho. Lekin road cross karna is not about your confidence. Road cross karna is about lack of confidence un logon pe jo gaadi road pe chala rahe hai. Thodi aur badi ho jao phir.
Mera naam Harpreet hai. Aapne mere saath apne bachon ke liye 5 min bitaye, iske liye mein aapka shukrguzaar hoon. Phir milenge.
Join the curious parents' community to receive one researched newsletter every month to understand your child better.