Why do some children read books and some don't? What can you do as a parent? The environment creates the child. Parents create the environment. It is as simple as that. Or is it?
Kitabon se kaise karein pyaar?
Mera bacha kitaabein nahin padta. Yeh maine bahut saare parents se suna hai. To mein aapke saath share karna chahata tha ek incident jo Diwali pe hua. Meri behan aur uska beta jo ki 7 saal ka hai, woh kuch dinon ke liye hamare ghar pe rehne aaye hue the.
Mujhe pata tha ke mera bhanjha kitaabein nahin padta. To mera experiment karne ka man hua.
Hamare ghar pe kaafi saari kitaabein hai. Ghar mein hum sabko kitaabein padna aacha lagta hai. Actually kitaab padna ek cheez hai jo meri beti mere khayaal se full concentration se karti hai.
Ek din meri beti baith ki kitaab pad rahi thi to maine apne bhanjhe se poocha, book padni hai? To usne mana kar diya. To maine bola, mamu ke saath padhoge. To haan bola.
So I picked up book called ‘Dog Man’. Yeh cartoon ki tarah likhi gayi book hai and aaj kal bachon ko bahut pasand hai. Hum ikathe sofa pe baithe aur padna shuru kiya. Mein padne laga aur woh sun ne laga. 4-5 page ke baad maine bola chalo ab tum complete karna last word har line ka. To woh karne laga. Humne aise ikathe 5 min pada hoga.
Phir maine bola chalo mujhe thoda kaam hai. Aap pad lo. So he continued reading. Hum us shaam ko ek football match dekhne jaa rahe the ek ghanta door, to woh actually kitaab ko le gaya saath mein aur raste mein poori khatam kar di. Agle do din mein he finshed 2 Dog Man books aur saath mein 3 aur ghar le gaya.
To point yeh nahin hai ke kitaabein padna aachi baat hai. Aur sab bachon ko padni chahiye ya hume padani chahiye. Point yeh hai ke jo environment hum as parents create karte hai woh hamare bache ka behaviour define karta hai. Yeh imp baat hai - aap bol bol kar nahin pada sakte. Environment create kar ke aaraaam se pada sakte hai. Yeh environment create karna hamare haath mein hai.
Aur bachon ke saath yeh create karna aasaan hai. Bachon ke dimaag mein koi assumption nahin hota apne baare mein. Ke mein yeh hoon, mein woh hoon. Mein shy hoon, mein kitaabein nahin padta. Yeh sab hum bade log bol kar uske mann mein daal dete hai.
Aur humein bahut dhayan rakhna hai ke hum apne bachon par label na lagayein. Ke hamara bacha ‘aisa hai’, ‘waisa hai’. Kyonki aisa karne se hum usko janam de rahe hai jo ke bachey ki dimaag mein exist hi nahin karta. Hai hi nahin.
Bacha ek clay ki tarah hai jo ke mold ho raha hai apne environemnt se interact kar ke.
Agar aap aisa environment banana chahate hai ke bacha kitaabein pade to yeh 3-4 simple cheezein aap kar sakte hai
Agar yeh chaar cheezein ki to mujhe lagta hai bachey ka reading karna pakka hai.
Agar phir bhi bacha nahin pad raha to yeh kuch reason ho sakte hai
Ho sakta hai ke mera bhanjha bhi padne se mana kar deta. That is also ok. Chote bache world ko apne senses se explore karna chahate hai. Woh opportunity unke pass hamesha honi chahiye.
As parents hum to koshish kar sakte hai environment bana ke. Aur label na laga ke. Aur kabhi bhi yeh na bol ke ke ‘mera bacha kitaabein nahin padta’
Mera naam Harpreet hai. Aapne mere saath apne bachon ke liye 5 min bitaye iske liye mein aapka shukrguzaar hoon. Phir milenge.
Join the curious parents' community to receive one researched newsletter every month to understand your child better.