Does your child confuse ‘b’ and ‘d’, ‘p’ and ‘q’? If yes, here is what you can do to help your child.
Ulte akshar: b d on no p q
Mera naam Harpreet hai aur agle 5 mein hum bachon ke baare mein baat karenge.
Kya aapko pata tha ke bache aksharon ko ek gayein ki tarah samajte hai? Bachkey ke liye jaise gayein hai waise hi akshar hai. Iske baare mein hum aaj baat karenge. Kyonki hum bachon ke baare mein, parenting ke baare mein baat kar rahe hai isliye instagram, youtube bhi mujhe aaj kal yehi sab dikhata hai.
Ek video jo mujhe bahut dikhta hai woh parents yeh se poochta hai ke ‘kya aapka bacha b aur d ko, p or q ko confuse karta hai, ulta likhta hai” . Agar haan to is tareeke se aap apne bachey ki madad kar sakte hai. Phir wahi video batata hai ke yeh 5 tareeke hai jo aap apne bachey ke saath istemaal kar sakte hai yeh samasya ko theek karne ke liye. Ek paper lijiye uspe b aur d banaiye, phir bachey ko boliye ke circle kare. Aise aur tareeke. Phir woh yeh bhi batata hai ke yeh karna imp hai.
Bachey ke madad karna in cheezon mein zaroori hai. Aur pyaar se bolta hai ke agar aap roz bachey ke saath 5 mein bitayenge to yeh theek ho sakta hai. Mein sochta hoon ke koi parent isko sunta hoga to usko kya lagta hoga - ke mere bachey mein kuch to gadbad hai jo theek karni hai - doorsa yeh ke mujhe as a parent madad karni padegi Par kya yeh sach hai. Kya yeh sach hai ke - bachey mein kuch gadbad hai jo ke woh aise kar raha hai - aur kya yeh sach hai ke agar aapne madad nahin ki to bacha poori zindagi hi b aur d ko ulta likhta rahega. Nalayak rahega.
Chaliye pata karte hai.
Lekin yeh pata karne ke liye humein 5400 saal peechey jaana padega. Iraq mein jo ke Persian Gulf ke pass hai aur us samein, 5400 saale pehle Sumer ke rashtra le naam se jaana jaata tha. Hum wahan isliye jaa rahe hai kyonki wahin pe writing ka ijaad hua tha. Invention hua tha. Ussi jagah par duniya ka sabse purana likhne ka record mila hai. Maana mushkil hai lekin 5400 years se pehle is duniya mein writing nahin thi. Ab ek aur scientific fact ko pakadte hai. Ke pehla manushay kab aaya tha. Science kehti hai ke pehla manushay aaj se 20 lakh saal pehle aaya tha.
Hamara dimaag, hamaabrain 20 lakh saal se develop ho raha hai. 5400 years humko shayad kaafi samay lage lekin sachayi to yeh hai ke yeh kaafi samay nahin hai. Itna samay nahin hai ke hamara brain train ho sake ‘reading aur writing’ ke liye. Padne likhne ke liye. Aap kalpana kijiye. Hazaron saal pehle ek bacha jungle mein hai. Usko ek sher dikhta hai. Woh chup jaata hai. Sher idher udher chal raha hia. Ab bahut zaroori hai ke us bachey ko sher kissi bhi angle se dikhe lekin sher hi dikhe. Aisa nahin ke sher daayein gaya to ekdum se dimaag ne bola ke arey yeh sher nahin hai, gayein hai. Kyonki aap dekho to ek cup to cup hi rehta hai na, upar se dekho, neechey se dekho, daayein se dekho ya baayein se. Kittab ulti ho seedhi ho, kittab hi rehti hai. To aapke bachey ke liye d ko ulta karo ya seedha karo to woh d hi rehna chahiye.
Yeh ek bahut simple par imp vichaar hai. Ke koi bhi vastu kaise bhi dekho same hi rehti hai. Lekin aksharon pe yeh laagu nahin hai. Jab hum aksharon ko ulta karte hai to unka matlab badal jaata hai. b d bann jaata hai aur on no ban jaata hai. Isliye jab bachey padna likhna seekhte hai to jo cheez unko jungle mein sher se bacha ke rakhti hai, same cheez unko padne mein confuse kar deti hai. Isliye bachey yeh galti karte hai. Is skill ko ‘spatial consistency’ kehte hai.
Research ne prove kiya hai ke chote bachon ke pass yeh skill, yeh sharamta nahin hoti. Unko nahin samaj mein aata ke gayein ko ulta kiya to gayein hi reh gayi lekin yaar agar b ko ulta kar diya to d ban jayega. Aur yeh isliye hota hai kyonki hamare dimaag mein padne aur likhne ke liye koi jagah bani hi nahin hai. To agar bani hi nahin hai to bade log yaani adults theek se kaise pad paate hai? Yahan hota hai hamare dimaag ka chamatkaar.
Science bolti hai ke kyonki hamein hamesha se objects ke pehchaan karni zaroori thi, isliye woh area brain mein poora bana hua hai. Lekin pichley 5400 saalon mein padai likhai ke zaroorat aa padi hai. Isliye hamare dimaag us area ke ek part ko dheere dheere badal deta hai, aur usko padai likhai ke liye istmaal karna shuru karne lagta hai. Is process ko decoding kehte hai. Aur is area ko Visual Word Form Area (VWFA) kehte hai.
Scientists ne dimaag mein chupi is jagah ko pakda MRI karne. Unhone do tarah ke logon ko liya: ek jo padna jaante the aur doosre jo nahin jaante the. Jab unko akshar dikhaye to VWFA waali jagah par gatividhi khali padna jaanne waala logon mein hui. Isse humein pata laga ke hamare dimaag ne objects ko pehchaane waale ek area ko reprogram kar diya hai, padne likhne ke liye.
Isliye bade log letters reverse nahin karte. Isliye nahin kyonki unhein sikhaya gaya hai but kyonki hamara dimaag is area ko 8 saal ki umar tak apne aap bana leta hai. Agar bachey ke aas paas akshar hai to. Kissi ki madad ke bina. To agar aapko aapka bacha b ko d likhta hua dikhe to aap usko rehne bhi de sakte hai. Bachey mein kuch gadbad nahin hai. Woh isko khud se theek kar lega. Aur self correction karne se usmein confidence aayega.
Social media pe hum bahut cheezein dekhtein hai jisse hamare sochne par, hamare bachon ke saath vyavhar par asar padta hai. Agli baar aap kuch aisa dekhein to us par yakeen karne se pehla, amal karne se phele thoda sochiye, Khud se poochiya: lekin bacha aisa kyon kar raha hai? Usko apni nazar se nahin bachon ki nazar se dekhiye. Kyonki jab bachon ko akshoron ki jagah gayein dikhe uske peechey gehra karan bhi ho sakta hai.
Aap pooch sakte hai ke, theek karne mein bhi kya burayi hai? Theek karne ka matlab hai ke bachey mein kuch gadbad hai ya gadbad ki hai. Aur yeh emotion hamari body language mein, hamare vayavayar mein, hamare bolne mein bachey ko lag jaati hai. Agar aap us par kaabu karke baat kar sakte hai to bas yeh dhyaan rakhiye ke padna likhna natural kaam nahin hai. Naya hai humans ke liye.
Jo MRI scientists ne ki usmein unhone yeh bhi notice kiya ke padne likhne waale log padne likhne mein to behtar the, lekin chehre pehchaanne mein, object identification mein anpad logon se peechey nikle. Kyonki dimaag ka thoda part reading aur writing mein chala gaya. To ho sakta hai ke reading writing jaldi karne ke chakker mein hum kuch aur kho rahe ho.
Aap ek curious parent hai. Aapne mere saath apne bachon ke liye 5 min bitaye iske liye mein aapka shukrguzaar hoon.
Agar aapko is episode mein kahi hui baat sahi lagi ho to isse aage share kijiye.
Join the curious parents' community to receive one researched newsletter every month to understand your child better.