Who is a Genius? Are Genius kids born or made? Are Genius kids happy? We will cover all these questions in this podcast.
Genius Baccha
Mera naam Harpreet hai. Aur aaj hum genius bachon ke baare mein baat karenge.
Genius kisko kehte hai? Mujhe to yeh jaan ke aashcharya hua ke genius ki koi vaigyanik pratibhasha nahin hai.
To hamare liye ek paribasha bana lete hai. Ke genius bache ka matlab hai ek bacha jismein asadhaaran yogyata ho. Ek sawaal jisko itihaas mein bahut mahatavpooranta di gayi hai woh yeh hai ke: Genius paida hote hai ke banaye jaate hai. Lekin hamare liye yeh sawaal kissi kaam ka nahin hai. Hamare pass to hamara bacha hai aur hum to yeh samajna chahate hai ke uski yogyata ko aasadhaaran banaya jaa sakta hai ke nahin?
To sabse pehle hum ek aise vayakti ke baare mein baat karte hai jiska naam aapne shayad suna ho.
Yeh hai tennis ke mashhoor player Andre Agaasi. Agaasi 8 baar Grand Slam champion reh chuke hai aur Olympics Tennis Gold jeet chuke hai. Aam taur par tennis mein khiladi ek tarah ke maidaan par hi vishwa prasidh hota hai. Lekin Agaasi duniya ke pehle purush bane jinhone har tarah ke maidaan par - ghaas, clay and hard court, teenon mein Grand Slam tournament jeete. Unke pitaji ne Agaasi ko tennis bachpan se sikhaya. Unhone apne ghar ke peechey khud se tennis court banya. Phir unhone khud se ek machine banayi jo ke teji se tennis gend fainti thi taaki Agaasi practise kar sake. Unhone yeh sharat rakhi ke har roz Agaasi kam se kam 2500 gendon ko khelega. Pitaji ka maanna tha ke jo ladka choti umar se tennis ki 2500 gend har roz khelega, matlab harr saal chote hone se 10 lakh gend khelega, usko duniya mein koi nahin hara payega. Aur unka kehna sach saabit hua. Agassi world number 1 player bane.
Ab gaur se suniye. Kyonki mein chowk gaya jab maine unki autobiographjy (unki aatmakatha) padi. Unki aatamkatha shuru hoti hai in lafzon se: I hate tennis. Mujhe tennis se nafrat hai. Agassi ne likha ke kaise unko apne pita ke banayi gend faikne waali machine ek raaksh ki tarah lagti thi. Unko lagta tha ke woh raakshs unko khana chahata hai, woh apni ma ke saath baithna chahate the, kuch aur bhi karna chahate the lekin kar nahin paaye kyonki tennis khelne se fursat hi nahin thi. Agassi world number 1 bane. Lekin unhone drugs li, apne pitaji se baat karni chor di, unki pehli shaadi tooti. Phir unki world no 141 tak gir gaye. Yeh tab tak chala jab tak unhe tennis se nafrat rahi. Kahin unke safar mein unko bachon ke liye kuch karne ka man kiya. Unhone gareeb bachon ke liye ek school shuru kiya.
Us school ko badane ke liye, aise bachon ko aur sahayog karne ke liye unhone tennis is baar dil se khelna shuru kiya. Woh waapis world number 1 bane, is baar lambe samein ke liye. Unhone waapis shaadi ki tennis ki player Steffi Graf ke saath aur unke 2 bache hue jinko unhone tennis mein nahin daala. Yeh kahani see maine yeh seekha ke hum genius bana sakte hai lekin agar hum bachon ko genius banayenge unki marzi ke khilaaf to uske parinaam bhari ho sakte hai.
Ab sawaal phir yeh bana ke kya bachon ki marzi se unhein genius banaya jaa sakta hai?
Yeh jaanne ke liye chaliye chalte hai milne László Polgár se. Laszlo Hungary desh ke rehne waale hai jo ki Europe mein hai. Unhone apna waqt college mein 400 geniuses ke zindagi ke baare mein padte hue bitaya. Aur yeh kitaabein padne ke baad unhone apne dimaag mein tai kar kiya: ke kissi bhi swasth bachey ko genius banaya jaa sakta hai. Ab woh yahan khali kitabi baaton par nahin ruke. Unhone akhbaar mein ek ishtihaar diya: ke mein shaadi karna chahata hoon.
Ek aise biwi dhoond raha hoon jo bhi yeh vishwas rakhti hai ke kissi bhi swasth bachey ko genius banaya jaa sakta hai. Aur mein uske saath genius bachon ko bada karna chahata hoon. Ek Klara naam ke teacher ne unke ishtihaar ka jawaab diya aur un donon ne shaadi kar li.
San 1970 mein unhone apna project shuru kiya. Un dono ka yeh maanna tha ke agar bachey ko 3 saal ki umar se padana shuru kiya jaye aur 6 saal ki umar se kissi EK vishesh cheez mein pyaar se padaya jaaye to koi bhi bacha genius ban sakta hai. Unka pehla bacha thi unki beti Zsuzsa. Kiss shetr mein usko genius banaya jaye usmein baare mein unhone bahut socha. Aur finally shatranj ko chuna. Pehli beti Zsuzsa ke baad unki do aur betiyaan hui. Unko bhi shatranj shikhayi.
Unki teenon ladkiyaan genius bani. Unko vishv mein Polgar Sisters ke naam se jaana jaata hai. Zsuzsa sabse pehle woman world chess champion bani. Doosri beti Sofia ne Chess Olympics mein gold jeeta. Aur unki sabse choti beti Judith ko aaj tak shatranj mein mahilaon ka sabse badhiya khiladi maana jaata hai. Unhone Magnus Carlson, Kasparav, Anand Vishwanathan aur 8 purush world champions ko haraya hai. Sabse zaroori baat yeh nikli ke yeh teenon ladkiyaan khush thi. Unhone shaadi bhi ki, bachey bhi kiye aur nomal zindagi bhi bitayi. Unki beti Judith ne bola ke chess unke liye ek khel ki tarah rahi.
Unhe khlene mein maza aata tha aur woh khelti gayi. Is tarah Laszlo Polgar aur unki patni Klara ne saabit kiya ke genius banaye jaa sakte hai aur khush genius banaye jaa sakte hai. Ek udharahan hamare desh Bharat mein bhi prasidh hai. Aaapne movie Dangal shayad dekhi hogi. Woh movie Haryana ke pehalwan Mahavir Singh Phogat ke parivar ke baare mein hai. Ke kaise unhone apni betiyon mein pehlwaani ki yogyata daali.
Jab meri beti paida hui to maine iske baare mein bahut pada aur mujhe itna samaj mein aaya ke agar hum iraade se asadharan yogyata ka bacha paalna chahate hai to uske liye maata pita ko kadi mehnat karni padegi. Itni mehnat karne ka man mera to nahin tha. Shayad aapka ho. To bass itna dhayan rakhiye ke agar aap chahate hai ke bacha yogyata paane ke saath jeevan mein khush bhi rahe to yeh bhi karna hoga ke bache ke mehnat uski marzi se ho rahi ho, dil se ho rahi ho. Jo kar raha ho usko pasand ho.
Mera naam Harpreet hai. Aapne mere saath apne bachon ke liye 5 min bitaye iske liye mein aapka shukrguzaar hoon. Agar aapko yeh episode mein kahi baat sahi lagi to isse aur parents ke saath share kijiye.
Phir milenge.
Join the curious parents' community to receive one researched newsletter every month to understand your child better.