Why do we really send our children to schools? To study or to get jobs as a result? What are the reasons? Let’s talk about it.
Bacchon ki padhayi
Mera naam Harpreet hai. Aur hum agle 5 min bachon ke baare mein baat karenge.
Parents kaafi baar poochte hai. Kaunsa school choose karein. A waala ya B waala. Yeh aacha hai ke woh. Ant mein school generally wohi choose kar lete hai jo ghar ke pass ho ya jo dikhta aacha ho. Yaar flat thode khareed rahe hai?
Kaunsa board choose karein - CBSE, ICSE ya international board. Iske jawaab bhi mil jaate hai. Ke agar aap chahate hai ke bacha IIT kare to CBSE mein hi rakho. Agar foreign jaana hai to international. Matlab bacha kya karega yeh bhi abhi hi decide ho raha hai, 6 saal ki umar mein, school admission ke time parr. Hum yeh school choose karne ke baare mein baat nahin karenge.
Hum is pe baat karenge ke bachey ko school bhejte kyon hai? Kya aapne kabhi khud se yeh sawaal poocha hai? Pooch ke dekhiye kya jawaab milta hai, mein 10 sec wait karta hoon. Aap keh sakte hai ke bhai poori duniya bhejti hai to hum bhi bhejte hai. Ismein sawaal jawaab waali kya baat hai.
Baat to hai, kyonki chahe duniya bhejti ho lekin phir bhi bharat mein 50 pratichit se zyada engineer berozgaar hai. To ek baar vichaar kar lena chahiye ke bachon ko school kyon bhejte hai? Ek wajah hai ke ma baap ko bhi samay chahiye. Unko bhi kaam hai. Isliye bachey school jaate hai. Kam se kam aadha din to milta hai shaanti hai.
Yeh kaafi practical kaaran hai. Doosra yeh ke sab bachey jaate hai. Ab hamara bacha ghar mein kya karega? Yeh baat bhi sahi hai. Hum aaj kal nuclear families mein reh rahe hai, Chote chote parivaron mein. Aur maata pita ko bhi padhana nahin aata sab kuch aur padna zaroori hai. To matlab bachey padai karne school jaate hai. Padai karne. Ab mudey ki baat par aaye hai, Padai parr. Kya hoti hai yeh padai jo karne bachey school jaate hai?
Padai ek tarah se dekha jaye to duniya ka gyaan hai, knowledge hai. Jo kehte hai ke schoolon mein bataya jaata hai. Maths, science, english, geography, histtory. Yeh gyaan ki shuruaat to a,b,c aur ek do teen se hoti hai. Lekin uska koi ant nahin hai. Kitna bhi gyaan diya jaa sakta hai. Endless hai.
Aur aaj kal ke zamane mein useless bhi. Aaj se 30-40 saal pehle gyaan ka mahatav zyada tha, importance thi. Lekin ab har din gyaan ki importance kam ho rahi hai. Duniya pehle se bahut tez raftaar se badal rahi hai. Kheti baari insaanon ne 10,000 varsh pehle shuru ki. Machines 300 saal pehle aayi. Computer ko aaye 50 saal hi hue hai. Mobile aaj kal sabke haath mein hai.
Duniya bahut tezi se badal rahi hai. Lekin hamara padane ka tareeka wahin atka hai. Baabuoon ki naukariyaan computer kha raha hai. To phir jo naukri bach jaati hai ya to security guard ki, khana delivery waale ki ya to phir bachti hai jismein khoob dimaag daudana padta hai. Khud se sochna padta hai.
Aur hamare kaafi school abhi tak gyaan baantnein mein jute hai. - School mein teacher class ke centre mein khadi hai. Kuch bol rahi hai. 50 bachey sun rahe hai. Samaj mein chahe na aa raha ho - Trigonometry padai jaa rahi hai kitabon mein lekin kuch banana mein uska istmaal nahin ho raha - Schools mein pareeksha mein sawal kaunse aane hai yeh purane saal ke paper dekh ke pata hai. - Shabd pata hai, paribhaashaayein yaad hai, lekin unki samaj nahin hai. Isliye tution bhi chalu hai.
Jo bachon ke khel ka samay hai woh tution mein jaa raha hai. Agar school mein padai ho rahi hoti to tution ki kya zaroorat? - Prashan woh hai jinka ek hi sahi jawaab ho sakta hai. Jinki marking karni bhi teacher ke liye easy hi. Aise gyaan waale prashanon ka aaj kal kya faayda hai? - Aachey bachey woh jo teacher ki baat sunein. Bacha jab tak bina sawaal pooche padta jaye to theek hai. Zyada sawaal pooche to problematic hai.
Aise schools se jo bache niklenge woh aaj se 10 saal ke baad kya karenge? Seekhne ki jigyasa bachon mein paida hone se hoti hai. Woh khud se chalna seekhta hai. Khud se bolna seekhta hai. Aaj kal ke school is jigyasa ko khatam karte hai. Usko yeh bata ke ke tum baitho, hum tumko batayenge Bachey ek ghanta maths seekhenge, ek ghata science, ek ghanta english. Jaise hi bachey ko kissi cheez mein interest aana shuru hua, period change.
Jaise ke bachey ka interest ek tubelight ke tarah hai, jo ke school poore din on off karta rehta hai. Agar ek topic khatam ho gaya to uske baare mein padai khatam. Aap aur nahin pad sakte. Aap bataiye ek umar ke bachon ko saath mein ek class mein daal ke kya faayda. Hum jab apni naukriyon mein kaam karte hai to ek doosre ki umar dekhte nahin karte. Aaj kal 25 saal ke youth CEO hai aur 50 saal ke log unko report karte hai. Ek umar ke bachey ek doosre se zyada nahin seekh sakte.
Lekin agar school ki ek class mein alag alag saal ke bachey saath mein padein to woh ek doosre se seekh sakte hai. Aisa school jahan bachon ko padaya nahin jaaye par sikhaya jaye, jahan woh adhyaapak se nahin ek doosre se seekhe, aisa school har jagah nahin hota. Parantu kaafi baar aise adhyaapak mil jaate hai jinka aisa vishwaas hota hai ke bachey samajdaar hai.
Unko padana nahin hai, seekhana hai. Agar seekhna waale school na mile to seekhane waala teacher dhoondiye. Bachey to aise school bhejiye. Bachon ko school zaroor bhejiye. Bas yeh dhyaan dijiye ke sab kuch padne ke chakker mein kahin uski seekhne ke jigyasa khatam na ho rahi ho.
Mera naam Harpreet hai. Aapne mere saath apne bachon ke liye paanch min bitaye iske liye mein aapka shukrguzaar hoon.
Aapko yeh episode aacha laga to ise aur parents ke saath share kijiye.
Phir milenge.
Join the curious parents' community to receive one researched newsletter every month to understand your child better.